Friday, May 31, 2013

Bey irada si ik mohubbat

بے ارادہ سی اک محبت میں
شھر غم سے ہوئ شناسائ

پھول کلیوں کی آرزوؤں میں
مل گئے خار ، آبلہ پائ

تم گئے ہو تو دل کی نگری میں
جیسے اک شام ھجر در آئ

اک عمر کو گزارنے کے لئے
کتنے جیون ہوں صرف تنہائ ؟؟

Kabhi Kabhi Merey Dil Main

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

+-+-+
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main
guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hai

Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hai
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi


Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai....