Thursday, January 31, 2013

Hansi chupa bhi Gaya ...

Hansi chupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
Yeh ik jhalak ka tamashaa jigar jala bhi gaya

Utha to ja bhi chuka tha, ajeeb Mehmaan Tha
Sadayein de K Mujhay neend se jaga bhi Gaya

Na aaya koi Lab-e-Baam , Shaam dhalnay Lagi
Wafoor-E-Shouq Se Aankhon mein Khoon aa bhi Gaya

Hawa thi, gehri ghata thi , hina ki khusbu thi
Ye aik raat ka qissa lahuu rula bhi Gaya

Chalo dost chalain, ab yahan raheN bhi to kia
Woh sangdil to yahan se kahin chala bhi Gaya


Friday, January 25, 2013

Dheeray Se Sarakti Hai...


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Thursday, January 24, 2013

Mujh ko Har Roz ...

Mujh ko Har Roz Ye Hota Hai Gumaa'n Shaam K Baad,
Aaj Har Haal Mein Jal Jayegi Jaa'n Shaam K Baad,

Aesi Barbadi Kabhi Dekhi Na Hogi Tum Ne
Na Koi Rakh, Na Shaula, Na Dhuwa'n Shaam K Baad,

Is Terha Hoti Hai Barish Koi Ander Ander,
Jaise Rota Ho Koi Chup K Yahan Shaam K Baad,

Jab Kisi Bhoole Hue Dukh Pe Nazer Perh Jaye,
Ashk Ho Jate Hain Ankho'n Se Rawa'n Shaam K Baad,

Neend Aati Hi Nahi Ankho'n Ki Dheleezo'n Tak,
Khali Reh Jata Hai Aksar Ye Makaa'n Shaam K Baad,

Borrhi Ho Jati Hai Kuch Aur Tasalli Ferhat,
Dard Ho Jata Hai Kuch Aur Jawan Shaam K Baad...

Wednesday, January 23, 2013

Baat Din Ki Nahi...

Baat Din Ki Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera Barsaat Se Dar Lagta Hai

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta HaiP

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…

Tuesday, January 22, 2013

Mujhy Kia Hua Hy ...

Mujhy Kia Hua Hy Yeh Aaj Kal
Kuch ajeeb sa mera haal hy
Mujhy zindagi bhi aziz hy
Mujhy maut ka bhi khayal hy

Tu mila to ban gaya ajnabi
Muhy phir bhi koi gila nahi
Teri berukhi bhi kamal hy
Mera hosla bhi kamal hy

Terey pass jitny sawal thy
Mery pass un k jawab thy
too jawab jis ka na dy saka
wohi lab pe merey sawal hy

Merey yaar baat zara si yeh
Kabi aaj tak na too samjh saka
Jahan hoon shakook urooj per
Wahin chahaton peh zawal hai...

Monday, January 21, 2013

Ghum-E-Firaq se Pehle ...


Ghum-E-Firaq se Pehle Shab-E-Firaq K Baad,
Hey Aur kia Jisey Dekhen Tere Jamal K Baad,

Tamam Umar KaTi Intizar Mein Apni,
Koi Bhi Dukh Na Mila Phir Tere Malaal K Baad,

Jawaab Mil Gaya Mujhe Teri Khamoshi Sey,
Tumhare Lafz Q Khoye Mere Sawaal K Baad,

Mein Teri Yaad K Chehre Ko Dhanp Dun Lakin,
Bachy Ga Kya Meri Jholi Mein is Kamaal K Baad,

Wo Ab Ki Baar Mila Is Qadar Takaluf Se,
K Kuch Bhi Na Pouch Paya Mein Us Se Haal K Baad ...!

Sunday, January 20, 2013

Paas Rehta hay ...

Paas Rehta hay Door Rehta hay,
Koi Dil Main Zaroor Rehta hay..

Jab sy Dekha Hay Unki Aankhon Ko,
Halka Halka Suroor Rehta Hay. .


Aisy Rehty Hain Woh Mery Dil Main,
Jaisy Zulmat Mei Noor Rehta Hay. .

Ab Dil ka Yeh Haal hay Har Waqt,
Mast Rehta haY Choor Rehta Hay....

Saturday, January 19, 2013

Naey Nawelay Ujley

Naey Nawelay.. Ujley Kaprrey
BeshaK Rooz BadaLna TUM

Mumkin Ho Tou Mere Naam Ki 

Ajjrak' Orrhey Rakhna TUM

Jo Chaaho Tasweer Sajalo,

Sanwal Aankh Dareechon Mein
 

Ik ChaMakta Aansou Lekin
Yaad Se Rakhna Palkon Mein

Prem Rutton Ki Baarish Barsey

Jab Bhi Yaad Havailii Per
 

Chupkey Chupkey Likhh Lena
TUM Mera NaaM Hathelii Per

Raat Gaaye, Jab Mann-Outaaq Mein,

DeeP Jala Ker Bethhon Ga
 

Mein Bhi Tere Naam Ka Qissa..
Dharrkan Dharrkan Likhon Ga....

Friday, January 18, 2013

Kuch Likha Tha...

Kuch Likha Tha Teri Yaad Me
Mery Ansuon Ny Mita Diya

Doston Sy Chhupai Thi Dil Ki Bat
Mery Chehry Ny Sab Kuch Bata Diya

Meri Chahton Ka B Kiya Sila Mila Mujhy
Jisy Toot K Chaha Aaj Ussi Ny Bhula Diya

Aik Khat Likha Tha Tery Naam
Phir Apny Hi Hathon Sy Usko Jala Diya

Gila Karna Mera Pesha Nahi
Tery Deedar Ki Hasrat Hy

Aa K Dekh Teri Muhabat Ny
Mujh ko Kiya Sy Kiya Bana Diya...!

Wednesday, January 16, 2013

Sawan ki Suhani

Sawan ki suhani raaton main ulfat ka zamana yaad aaya
Bheege hue is mousam mei ek khuwab suhana yaad aaya

Pehley aksar wo humsey milny aaya karti thi
Guzrey jab us koochey se to nazron ka milana yaad aaya

Kuch manzar ayse bhi hote hain Aankhon main jo bas jaate hain
Hum toot k Roye Qismat pe jab Waqt purana yaad aaya... !


More ... sher-o-shairy.blogspot.com