Sunday, September 30, 2012

Mujh sey rakhna hy taaluq to phir ...

Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

Saba ka bahar se,
gulistan ka jaisey phoolon se
Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

hey moj ka darya se,
kashti ka baadban se,
rishta hey jaisey aati hui saanson ka jaan se
hey jaisa taaluq dharkano ka Dil se

Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

hey chaand sitaaron ka jaisey aasman se
Nisbat hey jaisay behtey huwey darya ko samandar se
tughyanyun mein jaisey har moj ko bhanwar se

Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

har ek khushi ka gham se,
deewar-o-dar ka ghar se
rastey ka manzilon se,
musafir ka rah guzar se
taptey huwey sehra mein jaisey saaye ka shajar se
tanhaiyun ka jaisey firaq o hijar se

mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

Nishaani Apne Ghar ki ...

Nishaani Apne Ghar Ki Kya Baatau Tujhko
Jahaan Veeraniyan Dekho, Chalay Aana....!!!

Saturday, September 22, 2012

kabhi yaad aay to poochna

kabhi yaad aay to poochna
zarza apni khalwat-e-shaam se.....

kisay pyaar tha taray naam say....?

zara yaad kar k wo kon tha.
jo kabhi tujhay bhi azez tha....

wo jo jee utha teray naam say.
wo jo mar mita tary naam pe.....

humain be-ruki ka nahin gila.
keh yahi wafaon ka hy sila.

magar aisa jurm tha kon sa.
gaye hum dua-o-salam say...?

na kabhi visaal ki chah thi.
na kabhi firaaq main aah ki.

k mera tareeqa-e-bandagi.
hay juda tareeqay aam say....

Saturday, September 15, 2012

uss pe khul jati mery shauq

Uss peh khul jati mery shauq ki shidut sari,
dekhy hoty jo mery paon ke chaaly uss ny.

jis ka her aeyb zamany se chupaya men ny,
mery qissay sar-e-bazar uchaaly uss ny.

meri dum torti khawahish ka khayal aa na suka,
apny armaan hamesha hi nikaaly uss ny.

ak mera hi to haath na thama uss ny,
werna kitny hi girty hoey sumbhaaly uss ny.

jub ussy meri mohabat per bharosa hi na tha,
kiyon diye meri wafaaon ke hawaaly uss ny.

Tum se bohot kuch kehna

Tum se bohot kuch kehna hai
MAGAR...
kabhi TUM nahi milte to kabhi alfaaz nahi miltey ..

Ek nai duniya basana chahta hon
MAGAR...
kabhi neend nahi aati to kabhi khwaab nahi miltey..

Ye doriyan to mita doon mai ek pal main,
MAGAR...
kabhi qadam nahi chalty to kabhi rastey nahe milte..

mein to milne ko Betaab hun bohat DOST
MAGAR...

Kabhi waqt nahi milta aur kabhi "TUM" nahi miltey...



ajub junoon-e-musafat main...


ajub junoon-e-musafat main ghar se nikla tha.
khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha.

ye kon phir se mujhy raston main chor gaya,
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha.

ye teer dil main magar be sabab nahi utra,
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha.

men raat toot kar roya to chain se soya,
ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha.

wo qais ab jisay mujnoo pokarty hen log,
meri terha koi deewana ghar se nikla tha.....


Visit : sher-o-shairy.blogspot.com

Ghazlon men tery ishq ka...


ghazlon men tery ishq ka churcha na karengy.
hum tujh ko yun sur-e-aam ruswa na karengy.

kiyon hum pe uthaeen sung-e-malamut ki faseeleN,
behter he tery sheher men hum aaya na karengy.

ye chaand ye taary ye haseen raat ka aalum,
munsoob tery naam se kiya kiya na karengy.

weeran hoey qasr-e-tamana ke dareechy,
aabad kabhi piyar ki ab dunya na karengy.

har cheez ki bohtaat mein nuqsaan boht he,
shiddat se kisi shakhs ko chaha na karengy.


Tuesday, September 11, 2012

Barish (بارش)

بارش بارش کا موسم ہے 
روح کی فضاؤں میں 
غم زدہ ہواؤں میں 
بے سبب اداسی ہے 
اس عجیب موسم میں
 بے قرار راتوں کی 
بے شمار باتوں میں 
ان گنت افسانے ہیں 
جو بہت خاموشی سے 
دل پر سہتے پھرتے ہیں 
اور یہ امر مجبوری ہے 
سب سے کہتے پھرتے ہیں 
آج موسم بہت اچھا ہے 
آج ہم بہت خوش ہیں

Monday, September 10, 2012

Aate hain khuabon main...

Aate Hain Khuabon Main, Khayalon Main, Dilon Main,
Or Hum Se Ye Kehte Hain K "Hum Parda Nasheen Hain"

Saturday, September 8, 2012

Uski tawajo mere naseeb ...

Uski Tawajo Mere Naseeb Mein Likhi Hi Nahe The . . . . . .
Chor Dia Usay Yaad Karna Khud Ko Bad-Naseeb Keh Kar . .

Lafz taseer se banty haen...

Lafz taseer se banty haen, talafuz se nahi....
Ehl-e-dil aaj bhi haen, ehl-e-zuban se aagey

Nazaron main taab-e-deed...

Nazaron mein taab-e-deed hi baki na rahi,
kisse nazare milau tujhe dekhne k bad...

Saturday, September 1, 2012

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lage,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lage ♥♥

Tujhi ko apne Dil me basaya ...

Tujhi ko apne Dil Me Basaya Or Bsaya Kuch B Nahi,
Jidhar Dekha udher Tu Hi Nazar aya,
or Nazar aya Kuch B Nahi,

Dunia walo Ne be-waja Badnaam kr dia,
Too Ne bus Mera Dil Churaya,
or Churaya Kuch B Nahi,

Bus Ek Tujhi ko Nahi khona Chahte the Hum Lekin,
Hum Ne bus Tujhi ko Ganwaya,
or Ganwaya Kuch B Nahi,

Wo Jis ko Yad kiye Beghair Sote Nhi they Hum,
Us Ne Bs Hamein Hi Bhulaya,
or Bhulaya Kuch B Nahi.....