Thursday, March 7, 2013

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se

Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewangi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai...


4u

Wednesday, March 6, 2013

Pyaar ka meetha “Ehsaas”

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtoon ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya - meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai tujhy “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

4u

Tuesday, March 5, 2013

Kisi roz TUM ko bhe meri bohot Yaad aai gee


Kisi roz TUM ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

TUM milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

TUM tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main TUM gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main TUM aise kho jao gee,
koi pukare ga to meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or TUM kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or TUM sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab TUM rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din main phir TUM se yahee baat kahoon ga,

kisi roz TUM ko bhe meri bohot yaad aai gee…


4u

Monday, March 4, 2013

Dil e Muztar ko samjhaya


Dil e Muztar ko samjhaya boht hy,
Magar is dil ny tarpaya boht hy,

Qayamat hy yeh tark e Arzu bhi,
Mujhy aksar wo yaad aya boht hy,

Tabassum bhi, haya bhi, byrukhi bhi,
Yeh andaz e sitam bhaya boht hy,

Rah e hasti kay is jalty safar mein,
TUMhari Yaad ka saya boht hy..!


4u

Saturday, March 2, 2013

Janun ko zabt sikha loon...


Janun ko zabt sikha loon to phir chaley jana
mein apna aap sanbhaaloon to phir chaley jana

usi tarah hai abhi tishnagi in aankhon mein
mein in ki piyas bujha loon to phir chaley jana

dil ko ye waham k tum laut ker na aao ge
ye waham dil se nikaaloon to phir chaley jana

bayaz-e-dil peh jo utri hai surat-e-ilham
wo ghazal tum ko suna loon to phir chaley jana

nisaar hotey hain shama peh kesey perwaney
yeh jashan tum ko dikha loon to phir chaley jana.

*