Sunday, November 25, 2012

Mera shaher jal raha hy


Mera shaher jal raha hy
Aa ker koi sanbhalay...

pori qoam mit rahi hai,
tukron main bat gayi hai
aapus ke jhagron se
koi humain bacha le

Mera shaher jal raha hai
Aa ker koi sanbhalay...

Maon Ki goad ujri
bahnain tarap rahi hain
ashkon or siskiyon se
sada-ain uth rahi hain
Mere bhaiyon ko Ya rab
Kiyon Zalimo nain mara?
khushya manane nikle,
kiska tha kuch bigara

kara auratoon ko bewa,
bachon ko bey sahara
Mere shahr ka aman bus
Nahin Unko kiyon ganwara
kuch bhaiyon ney aakay
kuch bhaiyon ko maraa...

matam machay kahin per
lashain kahin pari hain
sir hey kahin to dhar hai
kahin haath hi nahi hain
hain kis qisim ke insaan
insaniyut nahin hai

Mera shaher jal raha hai
Aa ker koi sanbhalay...

tere Be-sahara banday
Tujhko Pukartay hain
Hum pe tu raham kerday
YA RAB humain Bachalay

Mera shaher jal raha hai
Aa ker koi sanbhalay...

***

Saturday, November 24, 2012

Har sans k sath mujhe socha karo gy TUM

Har sans k sath
mujhe socha karo gy TUM,

Apne hi aks main 
mujhe dhonda karo gy TUM,

Jab yaad aaye gi TUM ko 
WAFA meri,

Phir har shakhs ko 
chahat se dekha karo gy TUM,

Aaj meri tanhayi par 
hans rahe ho jo,

Mujh se bichar k 
issi baat par roya karo gy TUM,

Phir kese mere khayal se 
daman churao gy,

Jab meri tarha kisi ko 
chaha karo gy TUM,

Mere hote howe 
mera naam bholne walE,

Mere baad 
mere naam se 
sab ko pukara karo gy TUM..!

mohabbat meharbaan hogi

Mere jaane pe Aey jana'n!
pareshan tum nahi hona

kabhi chup ker nahi rona
judai zehar hoti hai
mujhe maaloom hai lekin
firaq-o-hijar ka mosam
yaqeenan beet jaye ga
yaqeenan wisal ke lamhe

dobara lout ayenge
wahi shaamien , wahi raatien
wahi qisse , wahi baatien
wahi phir daastan hogi

mohabbat meharbaan hogi

کیوں تلخ ہے حیات کوئی سوچتا نہیں


کیوں تلخ ہے حیات کوئی سوچتا نہیں

توڑے حصار ذات کوئی سوچتا نہیں

طبقوں میں جس نے بانٹ دیا اس نظام سے
کیسے ملے نجات کوئی سوچتا نہیں

محنت کشوں کے گھر ہی میں فاقے ہیں کس لیے
اتنی ذرا سی بات کوئی سوچتا نہیں

بدلوں گا سوچ لوگوں کی آخر میں کس طرح
تنہا ہو میرے ساتھ کوئی سوچتا نہیں

برسوں سے میرے شہر میں عارف شفیق کیوں
ٹھہری ہوئی ہے رات کوئی سوچتا نہیں


اب پھول چنیں گے کیا چمن سے

اب پھول چنیں گے کیا چمن سے
تو مجھ سے خفا، میں اپنے من سے

وہ وقت کہ پہلی بار دل نے
دیکھا تھا تجھے بڑی لگن سے

جب چاند کی اشرفی گری تھی
اک رات کی طشتری میں چَھن سے

چہرے پہ مرے جو روشنی تھی
تھی تیری نگاہ کی کرن سے

خوشبو مجھے آ رہی تھی تیری
اپنے ہی لباس اور تن سے

رہتے تھے ہم ایک دوسرے میں
سرشار سے اور مگن مگن سے

یہ زندگی اب گزر رہی ہے
کن زرد اداسیوں کے بن سے

کیا عشق تھا، جس کے قصّے اب تک
دہراتے ہیں لوگ اک جلن سے

Sunday, September 30, 2012

Mujh sey rakhna hy taaluq to phir ...

Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

Saba ka bahar se,
gulistan ka jaisey phoolon se
Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

hey moj ka darya se,
kashti ka baadban se,
rishta hey jaisey aati hui saanson ka jaan se
hey jaisa taaluq dharkano ka Dil se

Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

hey chaand sitaaron ka jaisey aasman se
Nisbat hey jaisay behtey huwey darya ko samandar se
tughyanyun mein jaisey har moj ko bhanwar se

Mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

har ek khushi ka gham se,
deewar-o-dar ka ghar se
rastey ka manzilon se,
musafir ka rah guzar se
taptey huwey sehra mein jaisey saaye ka shajar se
tanhaiyun ka jaisey firaq o hijar se

mujh se rakhna hey taaluq to phir aisa rakho

Nishaani Apne Ghar ki ...

Nishaani Apne Ghar Ki Kya Baatau Tujhko
Jahaan Veeraniyan Dekho, Chalay Aana....!!!

Saturday, September 22, 2012

kabhi yaad aay to poochna

kabhi yaad aay to poochna
zarza apni khalwat-e-shaam se.....

kisay pyaar tha taray naam say....?

zara yaad kar k wo kon tha.
jo kabhi tujhay bhi azez tha....

wo jo jee utha teray naam say.
wo jo mar mita tary naam pe.....

humain be-ruki ka nahin gila.
keh yahi wafaon ka hy sila.

magar aisa jurm tha kon sa.
gaye hum dua-o-salam say...?

na kabhi visaal ki chah thi.
na kabhi firaaq main aah ki.

k mera tareeqa-e-bandagi.
hay juda tareeqay aam say....

Saturday, September 15, 2012

uss pe khul jati mery shauq

Uss peh khul jati mery shauq ki shidut sari,
dekhy hoty jo mery paon ke chaaly uss ny.

jis ka her aeyb zamany se chupaya men ny,
mery qissay sar-e-bazar uchaaly uss ny.

meri dum torti khawahish ka khayal aa na suka,
apny armaan hamesha hi nikaaly uss ny.

ak mera hi to haath na thama uss ny,
werna kitny hi girty hoey sumbhaaly uss ny.

jub ussy meri mohabat per bharosa hi na tha,
kiyon diye meri wafaaon ke hawaaly uss ny.

Tum se bohot kuch kehna

Tum se bohot kuch kehna hai
MAGAR...
kabhi TUM nahi milte to kabhi alfaaz nahi miltey ..

Ek nai duniya basana chahta hon
MAGAR...
kabhi neend nahi aati to kabhi khwaab nahi miltey..

Ye doriyan to mita doon mai ek pal main,
MAGAR...
kabhi qadam nahi chalty to kabhi rastey nahe milte..

mein to milne ko Betaab hun bohat DOST
MAGAR...

Kabhi waqt nahi milta aur kabhi "TUM" nahi miltey...



ajub junoon-e-musafat main...


ajub junoon-e-musafat main ghar se nikla tha.
khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha.

ye kon phir se mujhy raston main chor gaya,
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha.

ye teer dil main magar be sabab nahi utra,
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha.

men raat toot kar roya to chain se soya,
ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha.

wo qais ab jisay mujnoo pokarty hen log,
meri terha koi deewana ghar se nikla tha.....


Visit : sher-o-shairy.blogspot.com

Ghazlon men tery ishq ka...


ghazlon men tery ishq ka churcha na karengy.
hum tujh ko yun sur-e-aam ruswa na karengy.

kiyon hum pe uthaeen sung-e-malamut ki faseeleN,
behter he tery sheher men hum aaya na karengy.

ye chaand ye taary ye haseen raat ka aalum,
munsoob tery naam se kiya kiya na karengy.

weeran hoey qasr-e-tamana ke dareechy,
aabad kabhi piyar ki ab dunya na karengy.

har cheez ki bohtaat mein nuqsaan boht he,
shiddat se kisi shakhs ko chaha na karengy.


Tuesday, September 11, 2012

Barish (بارش)

بارش بارش کا موسم ہے 
روح کی فضاؤں میں 
غم زدہ ہواؤں میں 
بے سبب اداسی ہے 
اس عجیب موسم میں
 بے قرار راتوں کی 
بے شمار باتوں میں 
ان گنت افسانے ہیں 
جو بہت خاموشی سے 
دل پر سہتے پھرتے ہیں 
اور یہ امر مجبوری ہے 
سب سے کہتے پھرتے ہیں 
آج موسم بہت اچھا ہے 
آج ہم بہت خوش ہیں

Monday, September 10, 2012

Aate hain khuabon main...

Aate Hain Khuabon Main, Khayalon Main, Dilon Main,
Or Hum Se Ye Kehte Hain K "Hum Parda Nasheen Hain"

Saturday, September 8, 2012

Uski tawajo mere naseeb ...

Uski Tawajo Mere Naseeb Mein Likhi Hi Nahe The . . . . . .
Chor Dia Usay Yaad Karna Khud Ko Bad-Naseeb Keh Kar . .

Lafz taseer se banty haen...

Lafz taseer se banty haen, talafuz se nahi....
Ehl-e-dil aaj bhi haen, ehl-e-zuban se aagey

Nazaron main taab-e-deed...

Nazaron mein taab-e-deed hi baki na rahi,
kisse nazare milau tujhe dekhne k bad...

Saturday, September 1, 2012

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lage,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lage ♥♥

Tujhi ko apne Dil me basaya ...

Tujhi ko apne Dil Me Basaya Or Bsaya Kuch B Nahi,
Jidhar Dekha udher Tu Hi Nazar aya,
or Nazar aya Kuch B Nahi,

Dunia walo Ne be-waja Badnaam kr dia,
Too Ne bus Mera Dil Churaya,
or Churaya Kuch B Nahi,

Bus Ek Tujhi ko Nahi khona Chahte the Hum Lekin,
Hum Ne bus Tujhi ko Ganwaya,
or Ganwaya Kuch B Nahi,

Wo Jis ko Yad kiye Beghair Sote Nhi they Hum,
Us Ne Bs Hamein Hi Bhulaya,
or Bhulaya Kuch B Nahi.....

Friday, August 31, 2012

Hath main leke mera hath ...

Hath Mein Leke Mera hath ye wada Karlo,
Ab Na Choro Ge Mera sath ye wada Karlo,

 Tum Na Badlo Ge Badalte Mosam ki Tarha,
 Beetne wali hai Barsat ye wada karlo,

 Log Halaat Badalte Hi Badal jaty hai,
Tum Badlo Ge Riwayat ye Wada Karlo,

 Tum to waday Bhi Bhula Dety Ho Aksar Wasi,
Ab Na Bhulo Ge koi Wada ye Wada Karlo.... ♥

Sunday, August 26, 2012

لکھا ہوا تھا جو قسمت میں وہ مٹا نہ سکے

لکھا ہوا تھا جو قسمت میں وہ مٹا  نہ سکے
ہم اپنی زندگی میں اپنا انھیں بنا نہ سکے
نظر کے سامنے دریا گزر رہا تھا مگر
جو آگ دل میں  لگی تھی اسے بجھا نہ سکے
یہ سوچ کر ہم نے دل کا خون کرڈالا
کہ تمہارے بعد کوئی دل میں سما نہ سکے

Thursday, August 23, 2012

Mujh se Parda hai tou Phir ...

Mujh Se Parda Hai Tou Phir Khwaab Mein Aatay Keyon Ho,
Pyar Ki Shama Mere Dil Mein Jalatay Keyon Ho...?

Alvidaa Kehnay Ko Aaiy Ho Tau Milna Kesa,
Hei Bichharna Tau Galay Mujh Ko Lagatay Keyoan Ho...?

Dosti Ho K Rahay Aisa Zaruri Tau Nahi,
Dil He Jab Na Mil Saka Haath Milatay Keyoan Ho...?

Naa Laga-Paaoon Ga Ilzam Mein Us Par Logo!!!
Mere Mujrim Ko Mere Saamnay Laatay Keyon Ho......?

Rehnumaa Khud Ko Jo Kehtay Hain Naseem Un Se Kaho
Khud Tou Bhutkay Ho Hamen Raah Batatay Keyon Ho...?

Life is like a mirror ...

Life is like a mirror,
we get the best results when we smile at it :)) ♥

No One Knows How much ...

No One Knows How Much ♥ I Care About You...

No One Knows How Much ♥ I Think Of You...

No One Knows How Much ♥
I Need You,
I Miss You
&
I Love You... ♥ ♥ ♥