Monday, August 5, 2013

Har Fard Yehan Par Taajir Hai

Har Fard Yehan Par Taajir Hai,
Har Waqt Tijaarat Hoti Hai


Tum Aap He Apnay Daam Kaho,
Chupp Kr Nahe, Sare Aam Kaho

Kya Logay Apni Yaari Ka,
Kya Logay Tum, Dildari ka

Gham Khawar Bano gay Kitnay Mein,
Tum Pyar Kro gay Kitnay Mein

Sab Jazbay Merey Naam Kro,
Humnaam, Tum Apnay Daam Kaho

Par Daam Chukaanay Ke Khatir,
Jab Apna Daftar Kholein Tou,
Hum Apni Jaib Tatolein Tou,

Bus Pyar Milaey Ga Thora Sa,
Izhaar Miley Ga Thora Sa..
Yeh Sikkay Yehan Kab Chaltay Hein,
Kya Udhaar Miley Ga Thora Sa. :(