Thursday, July 18, 2013

Meri Zindagi to Firaaq hai

Meri Zindagi to Firaaq hai,
Wo Azal say dil mein makeen sahi !

Wo Nigah-e-Souq say door hein,
Rag-e-Jan say Laakh Qareeb sahi !

Sr-e-Toor ho, Sr-e-Hashar ho,
Humein intezar qubul hai !

Wo kabhe miley, Wo kahen miley,
Wo Kabi Sahi, Wo kahein sahi !

Mera un pay jo bas nahe, tou na sahi,
K yeh Ashiqi hai, hawas nahi !

Mein unhi ka tha, Unhi ka hun,
Wo merey nahe tou na sahi !

Jo ho faisla wo sunaaiye,
Isay hashar pay na uthaaiye,

Jo kren gay ap sitam wahan,
Wo abhe sahi, Wo yahin sahi !

Usay dekhney ke jo lou lagi,
Tou dekh lein gey "Qateel" hum !

Wo hazaar ankh say door ho,
Wo hazar parda nasheen sahi.....