Kitni Hai Mohabbat Kya Likhen,
Apni Ishq-E-Tabiyat Kya Likhen,
Karti Hai Bayaan Sab Aankhein,
Ab Dard-E-Ulfat Kya Likhen,
Be-Qaraar Din Aur Raatein Hain,
Saanson Ki Kefiyat Kya Likhen,
Ho Gayi Namkeen Tanhaiyaan,
Ashkon Ki Inayat Kya Likhen,
Intezaar-E-Yaar Mein Guzri Umar,
Hum Unki Masrufiyat Kya Likhen,
Reza-Reza Hue Saare Armaan,
Lute Dil Ki Shikayat Kya Likhen,
Hijr Mein Jalte Hain Shab-O-Roz,
Zindagi-E-Wehshat Kya Likhen.....