Wednesday, January 16, 2013

Sawan ki Suhani

Sawan ki suhani raaton main ulfat ka zamana yaad aaya
Bheege hue is mousam mei ek khuwab suhana yaad aaya

Pehley aksar wo humsey milny aaya karti thi
Guzrey jab us koochey se to nazron ka milana yaad aaya

Kuch manzar ayse bhi hote hain Aankhon main jo bas jaate hain
Hum toot k Roye Qismat pe jab Waqt purana yaad aaya... !


More ... sher-o-shairy.blogspot.com