Thursday, January 31, 2013

Hansi chupa bhi Gaya ...

Hansi chupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
Yeh ik jhalak ka tamashaa jigar jala bhi gaya

Utha to ja bhi chuka tha, ajeeb Mehmaan Tha
Sadayein de K Mujhay neend se jaga bhi Gaya

Na aaya koi Lab-e-Baam , Shaam dhalnay Lagi
Wafoor-E-Shouq Se Aankhon mein Khoon aa bhi Gaya

Hawa thi, gehri ghata thi , hina ki khusbu thi
Ye aik raat ka qissa lahuu rula bhi Gaya

Chalo dost chalain, ab yahan raheN bhi to kia
Woh sangdil to yahan se kahin chala bhi Gaya